Wednesday 2 January 2013

Ajab waiz ki din-dari hai ya rab


Ajab waiz ki din-dari hai ya rab
adawat hai ise sare jahan se
koi ab tak na ye samjha k insan
kahan jata hai ata hai kahan se
wahin se rat ko zulmat mili hai
chamak taron ne pai hai jahan se
ham apni dard-mandi ka fasana
suna karte hain apne razdan se
bari barik hain waiz ki chalen
laraz jata hai awaz-e-azan

Gulzar-e-hast-o-bu na beganawar dekh


Gulzar-e-hast-o-bu na beganawar dekh
hai dekhne ki chiz ise bar bar dekh
aya hai to jahan mein misal-e-sharar dekh
dam de najaye hasti-e-napayedar dekh
mana k teri did k qabil nahin hun main
tu mera shauq dekh mera intzar dekh
kholi hain zauq-e-did ne ankhein teri to phir
har rahguzar mein naqsh-e-kaf-e-pay-e-yar dekh

Ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai


Ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana matka hai
is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai
ae shaikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-basirat kahte hain
gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai

Jinhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein


Jinhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil k makinon mein
mahine wasl k ghariyon ki surat urte jate hain
magar ghariyan judai ki guzarti hai mahinon mein
mujhe rokega tu ai nakhuda kya garq hone se
k jin ko dubna hai dub jate hain safinon mein
jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil k sinon mein
tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin milta ye gauhar badshahon k khazinon mein
muhabbat k liye dil dhundh koi tutnewala
ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk abginon mein
bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahin sakta
k main khud bhi to hun "Iqbal" apne nuktachinon mein

Kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein


Kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein
k hazaron sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein
tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho
wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein
tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein
dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein
na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein
na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein
jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein

Khird k pas khabar k siwa kuch aur nahin


Khird k pas khabar k siwa kuch aur nahin
tera ilaj nazar k siwa kuch aur nahin
har muqam se age muqam hai tera
hayat zauq-e-safar k siwa kuch aur nahin
rangon mein gardish-e-khun hai agar to kya hasil
hayat soz-e-jigar k siwa kuch aur nahin
urus-e-lala munasib nahin hai mujhse hijab
k main nasim-e-sahar k siwa kuch aur nahin
jise qasad samajhte hain tajran-e-firang
wo shay mata-e-hunar k siwa kcuh aur nahin
giranbaha hai to hifz-e-khudi se hai warna
gauhar mein ab-e-gauhar k siwa kuch aur nahin