Wednesday 2 January 2013

Aata hay yaad mujh ko wo guzra hua zamana

Aata hay yaad mujh ko wo guzra hua zamana
Wo baagh ki baharain wo sab ka chehchahana

Azaadian kahan wo ab apnay ghonslay ki
Apni khushi se aana,apni khushi se jana

Lagti hay chot DIL per,aata hay yaad jis dam
Shabnam k aansuon per kallion ka muskurana

Wo pyarai pyari soorat,wo kaamni si moorat
Abaad jis k dam se tha mera aashiana

Aati nahi sadain us ki meray qafas main
Hoti meri rihai kaash meray bas main!

Kia badnaseeb hoon main ghar ko taras raha hoon
Saathi to hay watan main ,main qaid main para hoon

Aai bahaar,kallian phoolon ki hans rahi hain
Main iss andheray ghar main kismat ko ro raha hoon

Iss qaid ka ilaahi! dukhra kisay sunaon
Dar hay yahin qafas main main gham se na mar jaon

Jab se chaman chuta hay,ye haal ho gaya hay
Dil gham ko kha raha hay,DIL gham ko kha raha hay

Gana isay samajh ker khush hon na sunnay walay
Dukhtay huay DIL ki faryad pe sada hay

Azaad mujh ko ker day, O qaid kernay walay
Main bay zuban hoon qaidi,tu chor ker dua lay.

No comments:

Post a Comment